Gham nahi wahan jahan ho fasana aapka Khushi bhi dhundhti hai har pal fasana aapka, Aap udaas na hona kabhi zindagi mai, Bohot achha lagta hai hame muskurana aapka...! Unko khabar hai mere armaano ki, Aaj zarurat padegi kaanch ke paimane ki, Khali na hone dena jaam warna, Fir yaad aayegi guzre zamane ki Teri palkon pe khwab rakh gaya koi Teri saanso pe naam likh gaya koi Chalo wada raha bhool jana hame Agar humse achha yaar tumhe mil gaya koi Kabhi ghamo se aapki mulaqat na ho Udaas baithe ho aisi koi baat na ho Shikayat ho to hame maaf kar dena Fursat se baithe ho to hame yaad kar lena Kabhi kabhi sapne chur ho jate hain Halaat se log dur ho jate hain Par kuch yaadein itni haseen hoti hai ki Unhe yaad karne ko hum majboor ho jate hain Toota ho dil to dukh hota hai Karke mohabbat kisi se ye dil rota hai Dard ka ehsaas to tab hota hai jab Kisi se mohabbat ho aur uske dil mei koi aur hota hai Har raat ko chaand ka shringaar nahi milta Har baag ko phool ka dulaar nahi milta Maine bhi duniya dekhi hai dost Har insaan ko aap jaisa yaan nahi milta waise to kayi dost hain hamare Jaise aasman mai hain kayi taare Par aap dosti ke aasman ke wo chaand hain Jiske samne feeke padte sare sitare Lehar aati hai, kinare se palat jati hai Yaad aati hai, dil mei simat jati hai Fark sirf itna hai ki lehar bewaqt aati hai Aur aapki yaad har waqt aati hai kabhi ek lamha aisa bhi aata hai Jisme beeta hua kal nazar aata hai Bas yaaden reh jati hai yaad karna ke liye Aur waqt sab kuch lekar guzar jata hai Raat ka andhera ek saugaat lata hai Din ka ujala ek intezaar lata hai Aap hamare sath ho na ho Hawa ka har jhoka aapka yadon ka paigaam lata hai Aisi kya dua den aapko Jo aapke labo me hansi khila de Bas yahi dua hai hamari us khuda se Ki sitaro ki roshni se wo aapki taqdeer saja de Manzil kya hai, raasta kya hai, Hausla agar ho to faasla kya hai Wo to saza deke door jaa baithye Ab kisse puchu meri khata kya hai Subah hote hi jab duniya abaad hoti hai Aankh khulte hi aapki yaad hoti hai Khushiyon ke phool ho aapke aanchal mei Ye mere honthon pe pehli fariyaad hoti hai Uljhan agar koi aa jaye to muzse na chupana Sath na de zubaan to likh kar batana Hum har kadam par sath hain aapke Apna dost banaya hai to haq zaroor jatana Kaun jane kab maut ka paigaam aa jaye Kab zindagi ki akhri shaam aa jaye Hum to dhoondte hain waqt aisa Jab hamari zindagi aapke kaam aa jaye Phoolo se saji aapki zameen hogi Har raat us chaand se zyada chandni hogi Kisi raah pe suraj na bhi mile to kya Aapki har raah pe meri duaon ki roshni hogi Majburi mei nahi dil se yaad karna Duniya se fursat mile to baat karna Dua hai zamane ki har khushi pao aap Phir bhi aankh bhar aaye to hame yaad karna Kisi ko pyar itna do ke hadh na rahe Magar aitbaar bhi itna karna ke shaq na rahe Wafa itni karna ke bewafayi na ho Aur dua bas itni karna ke kabhi judai na ho Na chaho chaand ko itna Ke uski chandni tumhari kamzori ban jaye Chaho chand ko itna Ke roz nikalna uski bhi majburi ban jaye Taqdeer ne chaha taqdeer ne bataya, Taqdeer ne aapko aur humko milaya, Na jane khushnaseeb the hum ya wo pal, Jab tumsa dost hamari zindagi mei aaya Palkein to aankhon ki hifazat hoti hai, Dhadkan to dil ki amanat hoti hai, Ye pyar ka rishta bhi bada pyara hota hai, Kabhi chahat to kabhi shikayat hoti hai Zindagi ke liye jaan zaruri hai, Pane kle liye arman zaruri hai, Hamare paas chohe ho kitna hi gham, Par aapke chehre par muskan zaruri hai...! Door rehkar bhi hamse wasta rakhna, Mulaqat na sahi par baaton ka silsila rakhna, Chulo aasmaan ko tum ye tamanna he meri, Par hum tak wapas aane ka raasta yaad rakhna. Beete pal wapis laa nahi sakte, Sukhe phool wapis khila nahi sakte, Kabhi kabhi lagta he aaphame bhool gaye, Par dil kehta he ki aap hume bhula nahi sakte Jiyo uske liye jo jeene ka sahara ho, Chaho use jo jaan se bhi pyara ho, Raah mei to milenge bahut lekin, Sath uska do jisne bheed mei bas aapko pukara ho. Raat ki shuruaat neend se hoti he, Neend ki shuruaat sapno se hoti he, Sapno ki shuruaat apno se hoti he, Aur apno ki shuruaat aapse hoti he. Chahat ne aansuon ke tohfe diye, Baato ne yaadon ke tohfe diye, Isiliye andhero se lipatkar ro pade hum, Kyun ki ujalon ne bahut se dhokhe diye Ye zindagi thi sirf tere liye, Kabhi to aazma ke dekh liya hota, Hum sada hi tere paas rehte the, Kabhi to hame pehchan liya hota. Hame aadat he teri yaad aane ki, In aankhon ko teri ek jhalak pane ki, Hamari to tamanna he aapse baat karne ki, Par shayad aapki aadat he hame tadpane ki. Naraz hoke zindagi se nata nahi todte, Mushkil ho raah fir bhi manzil nahi chodte, Tanha na samazna khud ko kabhi bhi, Hum unme se hain jo kabhi sath nahi chodte...! Mila hai sab kuch fariyad kya kare, Dil ho pareshan to jazbat kya kare, Aap kehte hain hum aapko yaad nahi karte, Bhool hi nahi sakte jisko use yaad kya kare Gehrayi pyar mei ho to bewafayi nahi hoti Sachhe pyar mei kahi tanhayi nahi hoti Magar pyar zara sambhal kar karna mere dost Pyar ke zakhm ki koi dawa nahi hoti Mohabbat usne mohabbat se zyada ki thi Hamne mohabbat usse bhi zyada ki thi Wo kise kahegi mohabbat ki intehaa Hamne shuruwaat hi intehaa se ki thi Palkon mei qaid kuch spaney hain, Kuch begane kuch apne hain, Na jane kya kashish he in khayalon mei, Kuch log humse door hokar bhi kitne apne hain Falak mei apni jannat ke sitare nahi, Hum unke hain par wo hamare nahi, Choti si naav lekar us samundar mei utar gaye, Jis samundar mei door tak kinara nahi Zindagi guzar gayi dil ko samzane mei Pyar ke un kisson ko bhulane mei Samaz baithe jise zindagi apni Wo shamil the mere dil todne ke jashn manane mei Mangi thi dua aashiyane ki, Chal padi aandhiyaan zamane ki, Hamare gham to koi samaz na sake, Kyunki hame aadat thi gamo mei bhi muskurane ki...! Na chupana koi baat dil mei ho agar Rakhna thoda bharosa tum ham par Hum nibhayenge har rishte ko is kadar Ki aap na bhool payenge hame zindagi bhar Chahenge itna ki koi soch na sake Dil me chupa lenge koi dekh na sake Har pal apni baahon mei rakhenge tuze Ek pal ke liye bhi juda hone na denge Kuch likh nahi pate, kuch suna nahi pate Haal-e-dil zubaan pe laa nahi pate Wo utar gaye hain dil ki gehraiyon mei Wo samaz nahi pate, hum samza nahi pate Tere dil ko jo na ehsaas ho paye To dil ki baaten dil mei tadapne denge Ek din kisi aur ke ho jayenge Par apna dil tere liye dhadakne denge Wo aaye hum dekhte rahe, Wo muskuraye hum chup rahe, Wo bolte rahe hum sunte rahe Jawab aankho me tha wo zubaan pe dhundhte rahe Dard bhi tu, khushi bhi tu Pyar bhi tu, nafrat bhi tu Zakhm bhi tu, marham bhi tu Jannat bhi tu, jahannum bhi tu Tuzse he duniya meri, ye jane na tu Har sapna khushi pana ka pura nahi hota Koi kisike bina adhura nahi hota Jo chand roshan karta he sab raaton ko Wo bhi to har raat ko pura nahi hota Meethi baaton se nahi hota pyar Har phool se nahi banta haar Yun to zindagi mei koi aata he aur jata he Lekin har koi nahi banta aap jaisa yaar Kyun teri yaad hame satane aa gayi Kyun haq chahat ka jatane aa gayi Bhoolna chahte hain hum jin kasmo ko Kyun un kasmo ko nibhane aa gayi Har baat ka jawab nahi hota, Har ishq ka naam kharab nahi hota, Yun to jhoom lete he nashe mei peene wale, Par har nashe ka naam sharab nahi hota Haqeeqat ke kareeb aane ke baad, Samza mohabbat ko dil lagane ke baad, Muze apna gham nahi, dukh uska he, Kaun chahega use itna, mere jane ke baad Dil ka dard chupana kitna mushkil he, Tootkar muskurana kitna mushkil he, Door tak chalo jab kisi ke sath, Fir tanha laut kar aana kitna mushkil he S 1.Unke jaane se
chiragon mein roshini
kaham
Chaand bhuj saa gaya
mere gum se
Aab maut humse door kahn 2. aap se milke hum
badal se gaye
sher padhne lage
gunguna ne lage
pehle mashoor thi apni
sar-zindagi aab tho jab dekhiye
muskuraane lage 3. teri yaad mein nahi
guzarthe aise
tho koi daur nahin
jinki khwaish par sajde
kiye
who aap hain aur koi nahin 4. us raat ko tho meri
aise halath thi
vo door the muhjse par
dil ke paas the
socha tha taaare ginke
kat gayi raat meri taaare bhi nahin aaye
vo unke paas the 5. humne metrik tak
haasil ki
hain education phir bhi
naa jaan sake love ki
definition
phir dil ke darewazee par like diya
no admission
aap aa gaye phir bhi
without permission 6. patti patti gulab ho
jathi hain
har kali ek khwaab ho
jathi hai
agar daal mein nagar
fizaon par tho shabnam sharaab
ho jathi hai
jisme dekha ho lakhon
hasinayee
uski niyat kharab ho
jathi hain 7. har nazar mein ek
kashish ho thi hai
har nazar mein ek
chahat hothi hai
yeh mumkin nahin har
kisi ki liye taj mahel banana
lekin har nazar mein ek
mumtaz hothi hai 8. ishq ne insaan ko kya
se kya bana diya
kissi ko aashiq tho kisi
ko deewana bana diya
do phool ko bhooj naa
utha saki mumtaaz shah jahan ne uspar taj
mahel bana diya 9. dava bhi kaam naa
aaye
koi dua na lage
mere khuda kisi ko
pyar ki hawa na lage
10.phool khilthe hain baharoon ka sama hota
hai
aise mausam mein dil
jawan hota hai
dil ki baton ko hoton se
nahin kehthe yeh fasana tho aankhon
se bayan hota hai 11. humne mohabbat
ko dekha hai kuch iss
makam tak
ki aab tho nafarat sii ho
gayi hai mohabbat ki
naam see 12. Ae chaand tu door
rehkar bahoot jalaale
hume
bahoot din ho gaye
tere deedar ki bhi
ab saans toot na jaye kahin
ek deed tho aa ke de
abhi 13.shaam chale naam
naam sadak pe
baraf si rangat wali
ladki
kisi ka rasta dekh rahi
thi koi ho poochey tho
hans kar keh de
yeh duniya kithni shakh
karthi hai
kaan ka bala dhoondh
rahi thi 14.vo rah vo raste chod
diye humne
wooh yaar wo kasme
thod diye humne
tere ishq mein-e-sanam
yeh duniya tak chod diya humne 15. khuda kisi ko kisi
par fida na kare
fida kare tho bhi
qayamat tak juda na
kare 16.sehma sehma saa
rehtha hoon
dara dara saa rehta
hoon
jaane yeh dil kyon
bharea sa rehtha hai ik pal uthun tho dekhta
hoon
sab kuch jal chukka hai
bas jara jara sa rehta
hoon 17. yaad aathe hain wo
din jo humne dabhi
guzaare the
kabhi dil chatha hain ke
wo din wapas aajaye
lekin hum bahut door chale gaye
kabhi socha nahin tha
tum aise ho gaye
wo do pal jo humne
guzaare the
kaash kabhi wo wapis aa jaye 18. bahut dekha hai un
logon ko jo
khushiyon mein haste
aur gamon mein rote
hain
wo insaan bahut kam hote hain jo
gamon mein
muskurate aur
khushiyon mein palke
bhigote hain 19.kuch log zamane
mein aise bhi hote hain
mehfil mein jo haste
hain tanhai mein roote
hain 20.muddaton baad aaj
palke bhigi
aankh bhar aayi humari
aine ne jab kaha hums
ek zamana hua dekhe
muskurahat tumhari 21.tum humesha
hamari nazar mein
rahe ho
ab tumhe aazmane se
kya fayada
tum kisi aur ke jaal mein kaid hoo
tumse ulfat jatane see
kya fayada 22. tute hue paimaane
mein jaam nahi aatha
ishq ke mariz ko aaram
nahin aata
aye dil todne wale tune
yeh tho socha hota toota dil kisi ke kaam
nahin aatha 23.mujhe dushman ka
pata na tha
aur doston ki khabar na
thi
teri daastan kuch aur
thee meri daastan kuch aur
hai
kabhi laut aye tho
poochna nahin
dekhna inhe gaur see
jinhe raaste mein khabar ho ki yeh
raste koi aur hai 24.main labe shikve ko
see leta hoon
chand ghadiyan hai yun
hi gin leta hoon
ek baar pakad leta
hoon jis dost ka haath usi haath see jahar pi
leta hoobn 25. kabhi dekha hai
manzar shaam ke baad
kitney chup chup rehte
hai shajar shaam ke
baad
tho suraj tujhe kya maloom raat ko dookh
ki raaz utar mein jaan
ghar shaam ke baad 26.hoti agar kabool koi
iltaja hamari
ibadat ke deewane aaj
hum bhi karte
mohabbat ki hoti hum
see bhi kisi ne agar tho har shaksh see
naram mizaz hum bhi
hua karte 27.har lafz kaghaaz par
utaara nahin jata
har naam sare aam
pukara nahin jata
hote hai doston mein
kuch raaz ki baatein shayad iss liye iss khel
mein hara nahin jaatha 28. pyar karo tho ithna
karo ki koi had na rahe
intazaar karo tho ithna
karo ki waqt na rahe
bharoosa karo tho
ithna karo ki shak na rahe
nafrat karo tho ithna
karo ki mohabbat na
rahe 29.nahin kiya gile shab-
e-sahar kisi see
hansna rona accha laga
tanhai mein
kehte bhi kya kisi see ki
hum hai tanha tanha jeena tho hai ek saza
tanhai mein 30. har lamha har roz
umidon ka chirag jala
kar
bhuja gaya roshini ka
har ek zaria wo mujhe
jala kar 31. tum dost hote tho
mohabbat ka sawaal na
karte
use mehsoos karte aur
hamara khayal karte
afsos ki tum hamari ulfat se naawakif rahe
jaise umar bhar saath
reh kar bhi naa rahe 32.sookhe patte se pyar
kar lenge hum
tujh par aithbaar kar
lenge hum
tum yeh tho kaho ki
tum hamare hoo zindagi bhar intazaar
kar lenge hum 33.gum ek zahar hai
unhe piya jaata hoon
raat ki tanhai ko unhe
aabad kiye jataa hoon
mujhe tho maloom
nahin tha lekin log kehte hain
sote sote tera naam
liye jaata hoon 34.jab usne mujhe
pyaar se dekha
badal gayi meri jeevan
rekha jab usne lii mere
samne angarai
bhool gaya main khuda ki khudai usne kaha
hua tumse pyar
mujhe laga hua yeh
kaisa chamatkar
uski galiyon mein tha
mera ana jaana lekin kab banegi meri
jane jaana 35.usuloon key saath
agar chaloon tho
jazbaath kaa kya karon
duniya ko agar khush
karon tho
armaano ka kya karoon har ek ke liye jaha mein
jiya nahin jaa saktha
ehsaas hi agar apna
mita doon phir jee key
kya karon 36.shabanam se kya
phool hile
jab tak barsaat na hoo
khat see kya dil bhare
jab tak mulaqat na hoo 37. akeli jee rahi thi dil
ka aanan soona tah
mera
sirf tanhaiyaan thi
mere paas
par tumne itna pyar diya hai
jaan ke ki ab maut bhi
na aaye marne ke baad 38.zindagi tho jaise ek
saza si ho gayi
gum ke sagar mein iss
kadar kho gayi
tum aa jao wapis yeh
guzarish hai meri shayuad mujhe
tumhari aadat si ho
gayi hai 39.hume koi gum nahin
tho game aashiqui se
pehle
na thi dushmani kisi se
teri dosti se pehle
mein kabhi na muskurata jo mujhe ye
ilm hota
ki hazaar gum milenge
mujhe ek khushi se
pehle
hume koi gum nahin tha game aashiqui se
pehle 40. kuch phool tum par
bhi the
kuch phool hum par bhi
the
tum bhi saj rahe the
hum bhi saj rahe the bas fark ithna tha
tum duniya basa rahe
the
aur hum duniya se jaa
rahe the 41. agar rah se kuch
maanga tho shikarat
ho gee tere hote hue
kisi aur ko chahu tho
quamat ho gee
kyon ki khuda ne tujhe ithni fursat
see banayi hai ki teri
aankhon mein jannat
ka rasta nazar aaya hai 42.mein dil jo laakh
samhaya ki e-dil unko
yaad karna chod de
par dil ke har kone se
awaaz aayi
yahan tho har saans mein base hain wo
tho kya saans lena chod
dee 43.aansu ko ankhon ki
dehliz pe laya na karo
apne dil ki halath kisi
ko bathya na karo
log muthi bhar namak
liye ghum rahe hai apne zakham kisi ko
dikhaya naa karo 44.khat likhne ka mood
kiya
humne bhi mood bana
liya
ungli kaat ke kalam
banayi khoon ko sahayi bana
liya
ab tum pucho mujhe ya
naa pooch
humne apna farz nibha
diya 45. koi ankhon ankhon
see baar kar letha hai
koi ankhon ankhon
mein mulaqat kar letha
hai
bada muskil hota hai jawab dena
jab koi khomosh reh
kar sawaal kar leta hai 46.aapki kavita ne
hume likhna sikha diya
aapki dosti ne hume
pyar karna sikha diya
aur kua aapse
aap ki hasi me hume jeena sikha diya 47. hasraton pe chai
bekhudi ho tum
zindagi ke saare gu
bhool jao wo khushi
ho tum
badal na jana badale zamaane ki tarah
oo bekhabar meri
zindagi ho tum 48.kitni sundar hai in
gaalon pe yeh laali teri
aur us pe yeh hilthi hui
kano ki bali teri
bahut taareef kardi ab
to bata do kahan hain choti saali
meri 49. kaash khuda ne
hume kitab banaya hota
tum padthe- padthe
soo jathe
hume seene see lagaya
hota 50. Ae badal tu itna
garaz ki wo aa naa sake
wo aane ke baad itna
baras ki wo ja naa sake 51. kyun khoe khoe se
tum rehte hoo sanam
iss dil se tumhari
chahat hogi na kabhi
kam
aa jao meri zindagi mein tum sanam
tumhare bina hai
zindagi mein bahut
gum 52. dil tuta hai humara
khuda ki marzi hogi
isme kuch unki
khudgarzi hogi
dil diya tha humne
unhe apna samah kar tod diya unhone isse ek
sapna samaj kar
is tote dil ko aab hum
sambhale kaha se
ki hum to pehle hee
bedakhal ho chuke hai jahan see 53. matlabi hai yeh
duniya yahan kaun
kiska hota hai
dokha bhi wahi deta
hai jispe bharosa hota
hai 54. har shaam kaha
jaathi hai
ye kahami har subah
leeathi hai
ye ek nayi kahani
raastha tho badalthe hai har din ke
lekin manzil rehjathi
hai wahi poorani 55. hazaaron khushiya
kam hota hai
ek gum bhulane ke liye
ek gam kafi hota hai
zindagi bhar rulane ke
liye 56. jiske khayalon mein
hoon ghum
usko bhi koi khayal hai
mere liye yehi sawal
sabse bada sawal hai 57.aaj tho mera dil
kehta hai
thu iss waqt akela hoga
mera chuma hua
haaton see
auron ko khat likhta hoga 58. zindagi ke raastey
par hum tum
ko ek saath hi tho
chalna hai
hum tho jee bhi nahi
payenge akele chod ke chale
jaoge tum 59. jis shaam mere lab
pe tere naam na aaye
khuda kare aisa shaam
naa aye
aaye jaane wale yeh
mumkin hi nahi afsana likhon aur tera
naam na aye 60.pyar mein sanam
khuda hota hai
ehsaas tab hota hai
jab wo juda hota hai 61. pyar nahin tha unko
humse
aithbaarb nahin tha
unko humse
phir na jaane yeh dil
kyon bhara se rehta hai kabhi yehi tho soch liya
tha usne 62. vidya kiya hai
humne aap ko
man se na juda kiya]
milenge hum aur aap
aapas lmein
duniya me humse fariyad kiya 63. manzilon ko kareeb
see dekha
magar mazar na aaye
wo
aage piche dekha koi
nahi tha sach much meri manzil
thi
phir meri deewangi 64.jo khwab palkon
mein sajai hoo
use kabhi barbaad hone
haa doongi
meri zindagi mein suraj
nikle ya na nikle teri zindagi mein
shaam kahi aane na
doonga 65. kaash tere ghar ka
deewar
mere ghar ke paas hota
bhala thu nahi dekthi
teri aawaj tho suntha 66. har muskurahat ka
matlab ikraar nahi hota
har muskuraht ka
matlab inkar nahi hota
yun tho nazar laakhon
se milthi hai par har nazar do
matlab pyar nahi hota 67.yeh dil aise chiz hai
jis ka sauda sirf ek baar
hota hai
ye pyar aise chiz hai ho
dubara nahi hota
hai mil jaayegi aapko raah mein humari kahi
magar
hum jaisa shayad hi
kahi milsaktha hai 68. tu chandra mukhi
main suraj mukhi
tu mujhse dukhi main
tujhse dukhi
chal chat par ja kar laga
de chalang tu bhi sukhi main bhi
sukhi 69. log kahte hai hume
aadat hai muskurane ki
par vo kya jan ye bhi ek
ada hai gum chupane
ki�� 70. kabhi khamosh
baithoge, kabhi kuch
gungunaaoge
main itna yaad aaunga,
jitna mujhe bhulaoge
jab koi pooch baithega khamoshi ko sabak
tumse
bahut batlana chahoge
par bataa na paaoge 71. kaun kehta hai
judaai hogi
yeh afwah kisi
dushman ne udai hogi
thaath se rehenge
aapke dil mein kuch jagah to humney
bhi banayi hogi 72. haqiqat samjho ya
fasana
begana kaho ya
deewana
suno is dil ka fasana
teri dosti hai mere jeevan ka bahana 73. aarzoo hai tumhe
door se dekhne ki
karib bhi nahin aana
chahte
tamanna nahin tumhe
khone ki tumhe paana bhi nahin
chahte 74.kabhi kabhi mere dil
mein khayal aata hai
ki zindagi jaise teri
zulfon ki chaaon mein
guzar bhi pati, tho
shayad aap ho bhi sakthi thi
yeh rang jo gum ki
syahi jo dil pe chai hai
teri nazar ki shuwaaon
mein kho bhi sakthi
magar ye ho naa saka magar ye ho naa saka,
aur ab yeh aalam hai ki
tu nahin tera gum teri
zustzu bhi nahin
guzar rahi hai zindagi
jaise ise kisike sahare ki aarzoo
nahin
na koi raah, na manzil ,
naa roshni ka suraag
guzar rahi hai zindagi
meri aandheron mein inhi andheeron mein
rahe jaoounga kabhi
kho kar main
main jaanta hoon meri
hum nafas
magar yun hee kabhi kabhi mere dil mein
khayal aata hai 75. phool khilte hai
khushboo bikhraane ki
liye
kyun hum milte hai
bichad jaane ke liye
ab koi aarzoo nahin hum betaab hai
maut ko gale lagane ke
liye 76. hichikiyon se ek
baat ka ehsaas hota hai
ki shayad koi hamen
yaad to karta hoi
milne na aaye to kya
hum par chand lamhe to barbaad to karta hai 77. zubaan se naam
lete hai , aankhon se
aansu chalak jaate hain
kabhi hazaaron baatein
kiya karte the, aaj ek
baat ke liye taras jate hain 78. gum-e- zindagi kay
mare hai
aur ek bazi jeet kar
hare hai
jitne pathar meri jholi
mein hai sab mere doston ney
mujhe mare hai 79.aap mere pyar ka
jab silla dene lage
raste majbur hokar
rasta dene lage
insane ka kya bharosa
insane deta hai kya dona haaton se sameta
jab khuda dene lage 80. tum mujhe bhool
kar to dekho
har khushi rooth jaegi
jab bhi tum akele
baithoge
khud ba khud meri yaad aayegi 81. teri dosti ki roshini
aisi hai
ki har taraf ujala nazar
ata hai
sochta hun ghar ki bijli
katva lu aaj kal kambakth bill
bahut aata hai 82.hum to massoof hai
apni tanhaiyon mein
bade muddaton ke
baad kisi ne hame
pukara hai
ek pal thahar ke sochne lage
kya ye naam hamara
hai ? 83. kaun rakhta hai
yaad naamon ko
log cheharon ko bhool
jate hai
tum samandar ki baat
karte ho lob aankhon mein doob
jaate hai 84.gamon ka daur jaari
hai
aaj ki raat bahut bhaari
hai
dilon ka tutna koi nayi
baat nahi hai aaj meri to kal kisi aur
ki baari hai 85. chahne se koi baat
nahi hoti
suraj ke saath raat nahi
hoti
chahte hai jise jaam se
bhi zyaada dil mein hai par didar
nahi detay 86. meherban wo nazar
phir ho yeh zarori to
nahin
zindagi hamesha saath
tahe yeh zarori to nahin
ashiana basa hi lenge par wo tere bagair ho
yeh zarori to nahin 87. usko kya saza doon,
jisne mohabbat mein
hamara dil tood diya
gunah to humne kiya,
jo uski haton ko
mohabbat ka rang diya 88. aaj khushiyon ko
koi duhai dega
nikla hai chand dikhai
dega
aye mohabbat karne
walo zara sambhal ke mohabbat karna
ek aansu bhi gira to
sunai dega 89. dosti acchi hoto
rang lati hai
dosti gehri hoto sabko
bhaati hai
dosti naadan hoto tut
jati hai par dosti hum jaison se
hoto itihaas banjati hai 90.dil ke rishtey kitne
ajeeb hote hai
door rehkar bhi paas
hote hai
naseeb wale hote hai
wo log jo tumhe roz dekha
karte hai 91. nazron se nazar mili
kalaam ho naa saka
haath outha hee reh
gaya salaam ho naa
saka 92. unki hasrat hai jise
mita bhi naa saku
dhondhne use chala
hoon, jise paa bhi naa
saku 93.har karz dosti ka ada
kaun karega
jab hum nahin rahenge
to dosti kaun karega
ae khuda mere doston
ko salamat rakhna varna mere jeene ki
dua kaun karega 94. phool ju tarah haste
tahe to hum khush hai
dil kholkar milte raho
tho hum khush hai
ye nahi chahte ki roz
mile kisi din yaad karliya
karo to hum khush hai 95. itefaq se hum mile
itefaq see hum dost
bane
hamari dosti ab itefaq
nahin , zindagi ki
khoobsurat hakikat hai 96. shaam dhali phir
kali rat aaye
dil dhadka phir tumhari
yaad aaye
aankhon ne mehsoos
kiya ous hawa ko jo tumhe chookar
hamare paas aaye 97. hum students ka
favorite song:
exams paas aye, man
ghabraye
raat din padte-padte
bheja paglaye abto mera dil night
time rota hai
kya karu hai yaad nahi
hota hai 98. dost ek saahil hai
toofano ke liye
dost ek aaina hai
armaano ke liye
dost ek mehfil hai
anjano ke liye dost ek khwaish hai
aap jaise dost pane ke
liye
99. khaali shishe bhi
nishaan rakhte hai
tute hue dil bhi armaan rakhte hai
jo khamoshi se guzar
jaye
wo dariya bhi dil mein
toofan rakhte hai 100. dosti ek sapna
hai , is sapne ko yaad
rakhna
auro ke dost mil bhi
jaye to , is dost ko yaad
rakhna 101. tujhe chahnewale
kam na honge
waqt ke saath shayad
hum na honge
chahe kisko bhi kitna
bhi pyar dena pr teri yaadon ke
haqdar sirf hum honge 102. badi asani se dil
lagaye jate hai
par badi mushqil se
vade nibhaye jate hai
le jate hai mohabbat un
rahon par jahan diye nahin dil
jalaaye jaate hain 103. mere marne par
tum aansr mat bahaana
mere marne par ae
dost aansu mat
bahaana
yaad aye to sidha upar chale aana 104. tussi bade great
ho , rasgulle ki plate ho
sms karne mein great
ho, par jo bhi ho khuda
ki kasam mere pehle
friend ho 105. dosti hori hai dil-o-
jaan lutaane ki liye
hum apni hasti mita de
tumhe pane ke liye
milne ki tumhe fursat
nahi hum sms karte hai apni yaad dilane ke liye 106.logon ko kehte
suna aksar
zinda rahe to phir
milenge�.. magar iss
dil ne mehsoos kiya hai
pal pal milte rahe to zinda rahenge 107.dost dil todna
hamari aadat nahin
dil hum kisika dukhaate
nahin
bharosa rakhna meri
dosti pe dil mein basaake hum
kisiko bhulaate nahin 108. milne ki khushi na
bhichadne ka gum
na tanha na udas hai
hum
kaise kahe kaise hain
hum bas yun samajh lo
bahut akele hain hum 109. raat kya dhali
sitare chale gaye
gairon se kya gila karun
jab apne chale gaye
jeet tho sakte they ishq
ki baazi hum bhi par tumhe jetame ke
liye hum harte chale
gaye 110. agar kal hum na
bhi rahe
humari yaad sada
rahegi
sirf nazrein uthake
chand ko dekhna humari dosti ki TASVIR
wahan rahegi 111. na chaho kisiko
itna ki
chahat tumhari majburi
ban jaye
chaho kisiko itna ki
tunhara pyar uske liye zaroori ban jaye 112. kafan na daalo
yaro mujh par
mujhe aadar hai
muskurane ki
abhi kabar mein na
utaro mujhe umeed hai uske
aane ki 113. munna bhai says :
� life mein 3 cheezon
ke peechu kabhi nahin
bhagne ka
BUS, TRAIN aur LADKI .
bole to isne pe seedha chadjaane ka 114. chaho tho dil se
hume mita dena
chaho tho hum ko
bhula dena
par yeh wada karo ki
aayi jo kabhi yaad hamari
rona mat sirf muskuraa
dena 115. kabhi kee hogi
suraj nee chand se
mohabbat
tabhi to chand me daag
hai
mumkin hai ki chand se hui hogi bewafai
tabhi to suraj ke seene
mein aag hai��.. 116. LADKA : janeman
iss dil mein aaja
LADKI : sandal nikalu
kya ?
LADKA : arey pagli
mandir thodi hai aise hee aaja 117. dil ki galion mein
koi gham na ho
hamari yeh dosti kabhi
kam na ho
bas yehi hai dua ki tum
khush raho kya pata hum agar kal
ho na ho 118. exam ke char din
pehle jab syllabus
dekha to ek gaana yaad
aaya
�KUCH TO HUA HAI ,
KUCH HO GAYA HAI SAB KUCH ALAG HAI,
SAB KUCH NAYA HAI � 119. har mulaqat unn
se adhuri si rahi
har khushi mein kuch
kami si rahi
khwab kya dekhe
humne tumhare ab to neendh ki
aankhon se dushmani
si rahi 120. a mere sms mer
dost ke paas jaane
agar wo busy ho to
shor mat machana
agar wo free ho to
dheere se kehna � TAKE CARE AND GOOD
NIGHT � 121. bahut cheezein lut
chuki hai tujhse dil
lagaane ke baad
isliye room ki har cheez
check karta hoon ek
tere aane se pehle ek tere jaane ke baad
122. wo kya hai * ho
ISHQ mein hai *** DIL
mein hai *** MANN
mein hai **** lekin
DHADKAN mein nahi hai ? * Guess�****
sochoo kya hai wo ****
AAMIR KHAN 123. raatein gumanam
hoti hai, din kisi ke
naam hota hai
hum zindagi kuch iss
tarah jeete hai ki har
lamha dosto ke naam hota hai 124. royange aankhen
muskrane ke baad
aayegi raat din dhal
jaane ke baad
oh jaanewale zara
mudke tho dekh shayad yeh zindagi na
rahe tere jaane ke baad 125. dol gumsum, labh
khamosh
yeh aankhen aaj nam
kyun hai
jo kabhi apna hua hee
nahin usey khone ka itna
ghum kyun hai 126.ruth kar tum
mujhe bhulane lage
itne door ho ke bahut
yaad aaney lage
kaise bhula doon
tumhe main ekpal main jab tumhe paane mujhe
zamanay lage 127. kya aap
confidence se chalet
hain
kya aap penalty bharte
hain
kya aap mobile ke bill se darte hain
tho aap sms kyun nahi
karte hain ? 128. dard ko bhi ab
dard hone laga
dard khud hi ghav
bharne laga
dard ke mare hum na
roye kabhi dard khud hum ko
chookar rone laga 129. new year ke
mahine mein aapko
tata ka status, ambani
ki daulat
vajpayee ka dheeraj,
laden ki himmat aur bush ki taqat de 130. dekhi hazaro
mehfil par ye fiza kuch
aur hai
jalwe dekhe hai
hazaaro magar AAPKI
ada kuch aur hai waise to hazaaro hai
jaam par AAPKA nasha
kuch aur hai 131. hum tere dil mein
rahenge ek yaad bankar
tere lab pe khilenge
muskan bankar
kabhi apne juda mat
samajhna hum tere saath
challenge aasman
bankar 132. aankho may raha
dil may utar kar na
dekha
kasti ke musafir ne
samandar na dekha
patthar mujhe kehta hai mera chahne wala
main moam hun usne
mujhe chookar na
dekha 133. hasinone haseem
bankar gunaah kiya
auro ko tho theek
humko bhi tabaah kiya
pesh kiya jab ghazalon
mein unki bewafai ko aurone to theek
unhone bhi wah wah
kiya 134. aap gairon ki baat
karte hai
humne apno ko
azmaya hai
aap kanto se bachkar
chalet hain humne phoolon se chot
khaya hai 135. machhar ne jo
kata dil mein junoon
tha
khujli itni hui dil
besukun tha
pakda tho jaane diya yeh soch kar
sale ki ragon mein apna
hi khoon tha 136. badi muddat se
chaha hai tujhe
badi duaon se paya hai
tujhe
tujhe bhulane ki sochu
bhi to kaise kismat ki lakiron se
churaya hai tujhe 137. kehte hain ki ishq
mein neend ud jaati hai
hame bhi koi ishq kare,
kambakht neend bahut
aati hai 138. kamala ke nakhre
HOME