zara yaad karo kya kya na saha
ma ne
zara to yaad yaad karo kya sukh
na dia pita ne
ye mat kaho ye unka farz tha so
unhone kia
ye bhi mat socho ki unhone palan
poshan swaarthwash kia
ma-baap ki aakhon ke taare unke
bachhe hi to hote hain
ma-baap kabhi jaanke bachon ko
apne nahi dukh dete hain
kya milega maa ki awaaz ko
unsuna karke
kya milega boodhe baap ke
kandho ko veeran karke
kabhi hum bhi badhe honge hume
bhi koi papa,pitaji kahega
wo hamari saanson me
basega,usme sapna hamara
palega
gar vo bhi hamari tarah hume
bhula baitha to kya karenge
mar mar ke jiyenge ya jee jee
kar marenge
ye to hona hai awashya jo hum
is baat par nahi vichar karenge
24 ghanton ke din me gar ek
ghanta bhi apne validen ko na
denge
santaan se bada koi sukh nahi
hota jagat me
aur santaan se mile dukh se
bada koi dukh nahi hota jagat me
chaar paison ke lie jo
bhagambhaag hum macha rahe
hain
zara si daulat aur aish-o-araam
ko tavajjo die ja rahe hain
kabhi apni dooshit soch ya kisi
dost ki baaton me bhi jo aa rahe
hain
hakeekat to ye hai ki khud se hi
dushmani hum nibha rahe hain
jab ma-baap na rahenge tab unhi
ko khojte phirenge
abhi to hai jannat unke roop me
phir dhoondhte phirenge
ma-baap aise farishtey hain jo
zakhm khakar bhi bachhon ko
baddua nahi dete
haay ye kalyug aaj bachhe apne
ma-baap ko doston se bhi milane
me hain sharmate
khud ko sambhalen hum zara
tharen zara vicharen hum
ye shaan-o-shaukat ye ilm ye
sanskaar hume unhi ne to die
hain
hume pala posa kasht sahke bhi
koi kasht na hume hone diye hain
aaj jab hum unke dwara bane to
khud ki hi peeth thapthapane lage
unke upar zara se kharch ko bhi
khud par bhojh samajhne lage
unhe kabhi bhi paise dhan daulat
ki chaah nahi rahti
ye to unki hi dua hai hamesha
hume kaamyaabiyan hain milti
phir aaj kaise itne
kamzor,khudgarz aur kayar hum
hote ja rahe
doston ke saath ghanton hansi
thitoli aur utsav me bhi ma-baap
ke ashish se katra rahe
jab unki izzat nahi kar sakte jan
unka aadar nahi kar sakte phir
bekaar hai sabkuch
dost bhi kah denge jan unke nahi
hue to hum unke kaise ho sakte
hain kuch
bekaar hai bhagwaan se haath
jodna,dua karna aarti
utaarna,bekaar hai sab kuch
mata-pita ke aashirwaad bina
parmatama bhi nahi deta kuch Home Smszone