watch sexy videos at nza-vids!
haresh6992

PAYAR MEIN SABKUCH CHALTA HAI JANU PHIR WO F–K HI KAYO NA HO. UNMARRID FATHER-MOTHER ALSO. MA-BAAP KI INSALT BHI KAYO SALA KABHI UNHONE KABHI NAHI .SALE HUMSE CHUP-CHUP KE RAT KO KAPDE NIKAL KR JO KHUD KARTEHAI WO KUC NAHI.
“Meri Zindgi Badi Rangeen Thi, Phir Bhi Isme Rango Ki Kami Thi
Mujhe Dekhte To Sabhi They, Phir Bhi Ek Khaas Nazar Ki Kami Thi
Mujhe Pyar To Sabhi Karte They, Magar Phir Pyar Ki Kami Thi
Mujhe Apna To Sabhi Kehte They, Phir Bhi Apnepan Ki Kami Thi
..
“Aaj Meri Saari Kamiya Poori Ho Gayi, Shayad Aaj Tak AAP Hi Ki Kami Thi..

“PATA GIR GAYA PATCHAD SE PEHELE ,
ANSU NIKAL GAYA RONE SE PEHELE ,
KEHATEI HAI PAYAAR EK SAZZA HAI ,
KASH KOI ROK LETA PAYAR KARNEI SE PEHALE.

uske Husn Ki Tarif Mein Kya Kahiye
Koi Sehzadi Zamee Par Utar Aayi Hai
Ae Banane Wale Lagta Jaise
Koi Sangmarmar Ki Murat Tune Banayi Hai

Bahar Rutt me ujar Rasty,
Tak’ka kro gy to Ro paro gy
Kisi se milny ko jab bhi Mohsin,
Sajja karo gy to Ro paro gy
Tumhare wadon ne yar muj ko,
Tabah kiya hy kuch is trha se
K zindgi me jo phir kisi se,
Dagha karo gy to Ro paro gy
Main janta hon meri muhabbt,
Ujar dy gi tumhe bhi aise
K chand raton me ab kisi se,
Mila kro gy to Ro paro gy
Barasti barish me yad rakhna,
Tumhe stayein gi meri ankhen
Kisi Wali k mazar par jab
Dua karo gy to Ro paro gy…….

Mujhe de kuch mohlat mere malik udhar ki
mai alveeda keh aun un se jinhone meri chahat mai umr gujar di
e hawao ja kar keh dena unse ki hame to ana tha per meri mot ko manjur koi bahana na tha

Jab Log Juda Ho Jatay Hain
Sab Ehad Wafa Ho Jatay Hain

Jab NIyat Main Fatoor sa HO
Sab Amal GUnah Ho Jatay HAin

Jab Tere Baray Main Sochtay Hain
Sab Lafaz Dua Ho Jatay Hain

Jab Ghurbat Dar Pay Dastak De
Sab Yaar Khafa Ho Jatay Hain

Jab Waqt Dikhata Hay Aankhen
Sultan Gada Ho Jatay Hain

Tu Jab Bhi Mere Sath Na Ho
Tehwar Saza HO Jatay Hain

Jab Nafrat Lafzon Main Utray
Tab Apne Juda Ho JAtay Hain

Ye Duniya Hay Ae Mere Dost
Yahan Insan Khuda Ho Jatay HAin

Ae dost teri yaad bahaut aati hai

Tanhai mein mujhe bahaut sataati hai.

Kis se kahoon apne dil ki baat main

Ye hawa bhi kab tak saath nibhati hai.

Ye baarish ki boondein,ye matti ki khushbu

Mujhe tanha dekh kar mera mazaak uraati hein.

Mujhe tum se hai mohabbat itni

Tanhai mein tumhari awaaz aati hai.

Deta hai sadaa koi mujhe door se

Lagta hai mujhe meri dost bulati hai

Dard Hi Sahi Mere Ishq Ka Inaam To Aaya
Khali Hi Sahi Hathon Mein Jam To Aaya
Mein Hoon Bewafa Sabko Betaya Usne
Yun Hi Sahi, Uske Labhon Pe Mera Naam To Aaya

Assa Nahi k skahs acha nahi hey woh
Jesa mery kheyal mein tha wasea nahi hey woh
Takhleeq asman pey mery leya howa
Mana k iss zameen per mera nahi hey woh

keun chand ki chahat karte ho,
tum pagal larkay lagtay ho
wo dor falak pe rehta hai
tum kaheen zameen pe bastay
sitaray usk humdam hein
keun baat nahi samjhtay ho
wo pariyon k dais ka basi
tum aam si surat lagtay ho
wo tarq_e_taaluq chahta hai
tum uski refaqat chahtay ho ho
keun raat bhar nend nahi aati
kis soch main dobay rehtay ho
jo tum pe beeti mohbabat mein
us se keun nahi kehte ho
khuwabon mein khoye rehtay ho
keun maray maray phirtay ho
chand se baaten karte ho
raat ki bahon meinsotay ho
yun aas lagaye bethe ho
keun waqat barbaad karte ho
tumse kehna sab bekar hai
kisi ki baat sunte ho?
keun chand ki chahat karte ho
tum pagal larkay lagtay ho

Jane kyu Jahan mein esha hota hai
khushi de sabko wahi rota hai
umar bhar shath nibha na sake jo
jane pyar ussi se kyun hota hai

Mere Mohsinon Mere Doston Mujhe Zindagi Ki Dua Na Do

Main To Pyar Ke Qaabil Nahin Mujhe Dil Mein Itni Jagah Na Do

Mujhe Shauq-E-Zeest Na Rahaa Mujhe Zindagi Ne Diya Hai Kya

Main Marun Yeh Mujh Ko Haque To Hai, Main Jiyun Yeh Mujh Ko Sazaa Na Do

Woh Bane Tha Mere Jo Humsafar Wohi Chal Diye Mujhe Chor Ke

Main Jahan Se Aaya Hoon Ghamzada, MujheyPhir Waheen Se Sadaa Na Do

Is Zindagi Ki Shaam Ka, Mujhe Dar Tha Is Anjaam Ka

Mujhe Aik Ansoo Ki Tarah Kaheen Aankh Se Tum Giraa Na Do

Saajan Is Dayaar Mein Ik Saya-E- Diwaar Main

Main Jo So Gayaa Hoon Chain Se Mujhe Neend Se Phir Jaga Na Do

Har Shaam-e-roz Dil Ko Behla Leta Hoon..
Tanhai Mein Khud Ko Hi.. Dost Bana Leta Hoon..

Kabhi Yaad Unko Kar.. Muskura Leta Hoon..
Guzre Lamho Ko Phir.. Kareeb Bula Leta Hoon..

Shaam Jab Aati Hai.. To Pooch Jaati Hai..
Kyaa Aaj Bhi Aansu Bahaoge? Mein Hans Deta Hoon..

Har Shaam-e-roz Dil Ko Behla Leta Hoon..
Tanhai Mein Khud Ko Hi Dost Bana Leta Hoon..

Zindagi Ko Jeenewala..Aaj Kyun Chup Baitha Hai..
Jab Maa Yeh Poochti Hai.. To Sir Jhuka Leta Hoon..

Ab Mera Yaqeen Kamzor Padta Jaa Raha Hai

Phool bankar muskarana zindagi,
muskarake gum bhulana zindagi,
jeet kar koi khush ho to kya hua,
haar kar khushiya manana bhi zindagi

Ikraar mein shabdon ki ehmiyat nahi hoti,
Dil ke jazbaat ki awaaz nahi hoti,
Aankhen bayaan kar deti hain dil ki daastan,
Mohabbat lafzon ki mohtaaz nahi hoti

Kitna bhi chaho na bhol paoge
Kitna bhi chaho na bhol paoge
Hum se jitna dur jao nazdik pao ge
Humein mita sakte ho to mita do

ab Shaam Dhalay Chaltay Chaltay, Manzil Ka Na Koi Naam Mile
Ik Hansta Hua Aaghaz Mile, Ik Rota Hua Anjaam Mile
Palkoon Kay Laraztay Ashkoon Say, Is Dil Ko Koi Paygham Mile
Aur Sari Wafaoon Kay Badlay, Mujh Ko He Koi Ilzaam Mile
Aisay He Kisee Aik Lamhay Men, Chupkay Say Kabhi Khamoshi Men
Kuch Phool Achanak Khil jayen, Kuch Betay Lamhe Yaad Aaen
Tab Yaad Tumhari Aatee Hay

Qalam Dil Mein Dubota Hoon Chund Lafzon Ko Likhta Hoon
Jo Batein Dilpe Lagti Hain Unhi Baton Ko Likhta Hoon
Mein Shayar Hoon Meri Veeraniyan Jab Hadd Se Barhti Hain
Ussi Lamhe Dhunwan Uthta Hai Aur Aahon Ko Likhta Hoon
Mein Lafzon Ko Nahi Ehsas Ko Tehreer Karta Hoon

Kabhi Hum Un se Kabhi Woh Hum Se Rooth Jate Hain
Hawa Kuch Chalti Hai Aisi Ke Kinare Choth Jate Hain
Samandar Ki Gehrayi Se Bhi Hote Hain Jo Gehray
Pal Bhar Main Woh Rishtay Kyun Toot Jate Hain
Jin Pe Hota Hai Bharosa Apne Aap se Bhar Kar
Woh Log Dil Ki Dunya Kyun Loot Jate Hain
Teer Chalta Hai Jab Nafrat Ka Un Ki Aakhon Se
Dil Kaanch Ke Hote Hain Aksar Toot Jate Hain
Bara Naaz Tha Mujhe Un Ki Wafaon Par
Zara Zara Si Baat Par Jo Aksar Rooth Jate Hain

Apni mohabbat ki koi wazahat nahi karta
Han yeh dil tere siwa koi chahat nahi karta

Ek hum hain jo inpar khushiyan bhi nichawar kar dete hain
Ek woh hai jo dard bhi inayat nahi karta

Jab bhi isay bhoolnay ki koshish karta hoon
Mere andar hai koi jo meri himayat nahi karta

Apni taqdeer ki kitab main hi shayad mohabbat ka baab nahi
Main tum se koi jana shikayat nahi karta

DUNIYA KI HAR FIJ
MAIN UJALA RASOOL KA
SARI QAINAAT HAI
SADQA RASOOL KA
KHUSHBO E GULAB HAI
PASINA RASOOL KA
APKO BHI HO MUBARAK
MAHINA RASOOL KA
MY NAME IS MD BABAR ANSARI
YOU

Aaj Kal Woh Hum Se Baat Nahi Karte Hain

Raat Se Din Aur Din Se Raat Nahi Karte Hain
Aate Rehte Hain Khayalon Main Har Pal

Par Asliyat Main Mulakaat Nahi Karte Hain
Kahan Hain, Kaise Hain Aur Kis Haal Main Hain Hum

Bereham Koi Sawalaat Nahi Karte Hain
Ashkon Main Doob Gayi Hain Palkein Aur Phir Zindigi Bhi

Band Barasna Yeh Ashq-E-Jazbaat Nahi Karte Hain
Bhool Gaye Hain “muskaana”, Aur, Koshish Bhi .. Di Hai Ab To

Kia Karein Manzoor Yeh Haalaat Nahi Karte Hain
Aik Dam Aa Jaayein Who Saam Ne Aur Lag Jaayein Seene Se

Pyaar Karte Hain Hum Un Se Sacha Koi Bataye Unhein Uff
Koi Kasoor Hum Aji, Hazooraat Nahi Karte Hain

Khafa Kyun Hain? Yeh Pata Ho To Mana Lein Un Ko
Par Woh To Koi Bhi Ishaaraat Nahi Karte Hain

“gum Naam ” Ki Patti Pe Jo Shabnam Hai Sookh Na Jaaye
Kisi Ki Zindigi Yun Hi Barbaad Nahi Karte Hain

Mujh se mera kya rishta hai har ek rishta bhool gaya
itne aaine dekhe hain k apna chehra bhool gaya
Ab to yeh bhi yaad nahee hai farq tha kitna dono main
Us ki baatein yaad raheen aur us ka lehja bhool gaya
Pyasi dharti k hothon per mera naam nahee to kya
Main woh baadal ka tukda hoon jis ko dariya bhool gaya
duniya wale kuch bhi kahein per apni to majboori hai
Uski gali jab yaad aayi hai ghar ka rasta bhool gaya

Jaane Kyun Wo Saanso Ki Dor Tootne Nahi Deta

Bas Do Kadam Aur Chalne Ka Waasta Dekar Mujhe Rukne Nahi Deta

Baat Kehta Hai Wo Mujhse Hans Hans Kar Jee Lene Ki

Ajeeb Shakhs Hai Mujhko Chain Se Rone Nahi Deta

Aaj Hausla Deta Hai Mujhe Chaand Sitaro Ko Chhu Lene Ka

Wo Pyara Sa Chehra Mujhe Tootkar Bikharne Nahi Deta

Shayad Jaanta Hai Wo Bhi In Aankhon Men Aansuo Ka Sailaab Hai

Jaane Kyun Fir Bhi Wo In Aansuo Ko Girne Nahi Deta

Mujhse Kehta Hai, “Main To Mar Jaunga Tumhare Bina”

Main Zinda Hun Ab Tak Ke Wo Mujhe Merne Nahi Deta

Alvida Kehke Jab Wo Chal Diye,

In Ankho Ne Sare Haseen Khwab
Kho Diye.

Gum Yeh Nahi Ki Wo Hame Chod
Gaye,

Dard To Tab Hua Jab Alvida Kehte
Kehte

Wo Bhi Ro Diye..!!!!!!!!!!

teri khatir jite hai sanam, teri hi khatir mar bhi gaye to kya gam, chahe sari duniya kuch bhi kahe fark nahi padta , par agr tune bhi kuch kah diya to kha jayege ham,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,
me chata hu mujhe mera pyar mill jaye,
me chata hu mujhe mera pyara sa yaar mil jaye.
kya galti hai meri jo apna kehta tha vo apna nahi,
mujhe vahi mere dil ka kadardaan mil jaye……………………
i love u sharma jiiiiiiiiiiiiiii.

Gunah Karke Saza Se Darte Hai
Zehar Pee k Dawa Se Darte Hai
Dushmano k Sitam Ka Khauff Nahi
Hum Toh Doston Ki Wafa Se Darte Hain,

Mere Liye Uske DiLMe Chahat N Thi

Kisi Khushi Me Uski Aahat N Thi

Maine Dil Uske Kadmo Me Rakh Diya

Par Use Zamin Pe Dekne Ki Aadat N Thi.

Samajh Na Sake Unki Baato Ko
Hum Pyar K Nashe Me Choor The
Aaj Samajh Me Aya,
Jispe Hum Jaan Chhidakate The
Wo DiL Todne K Liye Mash-Hur The…….§

Bujh Gaya Jo Apne Dil Ka Diya,
Ab Na Karenge Fariyad Roshni K Liye..
Dil Ka shisha jo Toota To Gam Q Kare,
Dard Kayi Aur bhi He Zindgi K Liye…

Kabhi-Kabhi Mohabbat Me Waade Tut Jate H
Ishq K Kacche Dhage Tut Jate H
Zuth Bolta Hoga Chand Bhi
IsLiye To Ruth Kr Taare Tut Jate HAIN

Anjaany mein hum kisi sy wafa kar bethy hen

Apny dil ki har baat ussy bata bethy hen

Uss ki talaash mein itni door nikal gye

Kih wapsi ka rasta hai ganwa bethy hen

Woh na mila par itna zroor hoa kih

Ussy dondty dhonty khud ko ganwa bethy hen

Mil kar us sy kya khoya kya paya hum ny

Ussy yad karty karty khud ko bhula bethy hen

Shaid us py bharosa kuch zyada kar bethy

Jo aaj tak khud sy chhupaya ussy suna bethy hen

Dil k dard ko chupaya nehi jata,pyar karne walo ko vulaya nehi jata.dil k dard to ansu bankar nikal aate hai,lakh chahane par v apne pyar ko rulaya nehi jata
Main Aadmi Hoon Aam Sa

Ek Qissa NaTamam Sa

Na Lehja BeMisaal Hai

Na Baat Mein Kamaal Hai

Hoon Dekhney Mein Aam Sa

Udasiyon Ki Shaam Sa

Jaisy Ek Raaz Hoon

Khud se Be-Niaz Hoon

Na MahJabeenon Se Rabt Hai

Na Shuhraton Ka Zabt Hai

Raanjha Na Qais Hoon

Insah Na Faiz Hoon

Main Paiker-E-iKhlaas Hoon

Wafa Dua Aur Aas Hoon

Main Shakhs Khud Shanaas Hoon

Tum Hi Karo Ab Faisla

Main Aadmi Hoon Aam Sa Ya Phir Buhat Hi Khaas Hoon…?

mera naan rahulsaxena hai main ek stundent hu.

.”na ker jalim sitam pass aane se,

kuda bhi rooth jata hai kisi ka dil dukhane se”

“tum chali jaogi besak meri
jindgi se lekin main dil se kabhi bhula nahi paunga,

mana ki perm bana dega ek aur tajmahal lekin tere bin main mumtaj kaha se launga”!

Jindgi me kisi se pyer mat kerna,

ho jaye to ikrar mat kerna,

ager chal sako in raho per to chlna

warna dost jindgi berbad na kerna”


home